Thursday 29 August 2013

Khwaab Ho Tum



Hum aksar kuch khwaab dekhte hain...
Un khwaabon mein bas tum ko dekhte hain...
Nahi hoga tumhe yakeen shaayad...
Issliye kehne se darrte hain...
Tum kahoge matlabi humein...
Lekin hum sirf tumhari khushi ki duaa karte hain...
Maanta hu thoda khudgarz hoon...
Tumhe chahane ki karta bhool hoon...
Naa jaane kis qadar dil mein Tum chaaye ho...
Jab se iss viraan si zindagi mein aaye ho...
Tumhe takleef naa ho har dum issliye kehne se darta hoon...
Basey ho dil mein iss qadar yeh kehne se darrta hoon..
Naa jaane kya manzoor hain iss taqdeer ko...
Shaayad nahi hain izzazat chahana tumhe, mujh jaise faqeer ko...
Magar kya karu yeh chaahat meri baat nahi maanti hain....
Yeh sachey dil se bas tumhare dil ko maanti hain....
Dikhaawa karna shaayad mujhey aata nahi...
Yeh sach hain tumhara khyaal es dil se jata nahi....
Dhadkan ko bas khyaal hain tumhara....
Dil mein to tha hee, ab to deemag mein bhi khayaal hain tumhara....
Haqeeqat nahi lagta mujhe tumse baat karna apna...
Khuda hee jaane, kya ho sakta hain itna bhi koi haseen sapna....
Mujhe haqeeqat mein aane se naa jaane kyu darr lagta hain..
Naa jaane kyun apne khwaabon ke tutney se darr lagta hain....

Dosti Ek Kadwa Sach



Dosti naam hain vishwas ka
Ek ankahe vishwas ka...
Yun hee nahi kehte khoobsurat sa ehsaas isko..
Naa jaane kyun sab rishto se zyada dete hain hum ehmiyat isko...
Yeh waffa ka dusra naam hain..
Shaayad zindagi jeene kaa yeh dusra naam hain...
Aisa nahi hain dost dil nahi dukhatey...
Aksar dost kuch mod par hain saath chod jaate...
Dukh to hota hain jaane ka unka zindagi se iss tarah...
lagti hain zindagi phir bin dhadkan ki  jiss tarah...
Humne bhi dhokha khaya ishq mein aur dosti mein....
Yakeen maanna mere dost, ishq to bas dard deta hain chand lamho ke liye...
Gar dosti par se uth jaaye vishwas to vo tadpata hain umar bhar ke liye....
Dosti dard deti hain yeh sab nahi jaante...
Toot jata hain vishwas lekin hum nahi maante....
Dost hamesha khaas hote hain....
Dil ke hamesha paas hote hain...
Magar yaad rakhna ek baat zindagi mein...
Aksar dost bheed mein tanhaa bhi chod jaate hain...

Apne



Yeh sach hai ki har kisi ko gum apna dikhaya nahi jaata
Lekin yaad rakhna jo azeez hain unse yeh chupaya nahi jaata...
Hum kehte to bahut the yeh kassor aapka hai
Lekin jab khud par beeta kuch aisa to pata chala sara kasoor apne hee dil ka hai..
Hum chaahe laakh muskuraaye gaero ke aagey
Naa jaane kyu nahi chupa paate yeh ashqu apne azeezo ke aage...
Shaayad humara dil humse sachaa hai....
Tabhi gum baatna apno se lagta achaa hai...
Nahi jaante hum yeh sharam kaha chali jaati hai...
Chod kar saari fikar apno ke saath hee zindagi guzar jaati hai...
Meri maano to aazmaa kar dekhnaa kabhi khud ko...
Nahi juda kar paaogey apno se tum khud ko...
Yeh sach hai ki apno ki pehchaan bas dukh mein hoti hai...
Lekin uske baad zindagi aur bhi khoobsurat hoti hai...
Kabhi mat chodna saath apno kaa iss bheed mein....
Gar unhone kiya aisa to rahe jaaoge akele iss bheed mein.
Yakeen maanna mera, akelapan bas dard deta hai...
Yeh chehre par udaasi aur aankho mein aansu deta hai..
Apno ki ehmiyat ko samajh kar dekhna yeh ehsaas bahut pyaara hai....
Apne agar hain sang tumhare to yeh jeewan lagta bahut hee pyara hai....

Wednesday 28 August 2013

Ek Khwaab Aisa Bhi

Vo kehte hain humein khoobsurat tumhare khwaab hain
Tum mein kuch ajab hee baat hain
Shabd bhaley hee kum ho
Aankhein bhale hee naa namm ho
Lekin bahut hee haseen tumhaare khayaalaat hain
Mene kaha unhe main likhtaa nahi naam kamaney ko
Naa likhtaa hu apne aapko aazmaaney ko
Yeh to bas dil kahin khoyaa hua hain
Naa jaane kiski yaadon mein khoyaa hua hain
Yeh raah dekh raha hain unke aane ki
naa umeed thi jinke kabhi zindagi se jaane ki
Par isme kya kassoor hain es bechaare ka
Yeh nahi jaanta isse nahi hai koi haq kaagaz par kalm chalane ka...