Sunday 15 September 2013

Haal-E-Dil



Kabhi hosh mein hokar bhi hosh mein nahi hote hum...
Kabhi behoshi mein bhi hosh aa jata hain...
Kabhi bheed mein gum ho jaate hain hum...
Kabhi bheed mein hee khud ko pehchaan paate hain...
Kabhi bhookh naa ho to bhi dubaara khaate hain hum...
Kabhi khaali pet bhi niwaala nahi utarta hain...
Kabhi soch mein hee apni kho jaate hain hum...
Kabhi chaah kar bhi nahi soch paate hain...
Kabhi apne dukh ka jashn manate hain hum..
Kabhi apni khushi mein khud shareeq nahi ho pate hain...
Kabhi akele hee milo chal padte hain hum...
Kabhi chaar kadam chal thakk jaate hain...
Kabhi hausla khud par zarurat se zyada karte hain hum...
Kabhi ratti bhar bhi yakeen nahi kar paate hain...
Kabhi khud se hee ishq ladaate hain hum...
Kabhi sirf khud se hee nafrat le paate hain...
Kabhi dosto ka mazak udaate hain hum...
Kabhi puri mehfil mein mazak ban jaate hain...
Kabhi unse mohabbat kar baithte hain hum...
Kabhi chah kar bhi bhool unhe nahi paate hain...

No comments:

Post a Comment