Sunday 15 September 2013

Yeh Chaahat



Itni shiddat se maine unhe chaaha hain
Rooh ke har zarre mein unko hee basaaya hain
Shayad yeh bas meri kismat ka hee khel hain
Sachey iss dil se maine jo unko chaaha hain
Kaash dil-e-nadaan ko samjhaana aasan hota
Naa aati unki yaad aur naa phir yeh dil maayus hota
Meri chaahat ko main kaise samjhaaun ab
Unke waapis aane ki naa koi umeed hain jab
Jaanta hu yeh daur bhi chala jaayega
Lekin jab tak rahega bas yaad unhi ki dilaayega
Naa jaane kyu dil koi umeed kar leta hain
Aati hain unki yaad aur aankhien namm kar leta hain
Mujhe apni aankhon par bahut taras aata hain
Roti hain yeh bas unki yaadon ka namak aata hain
Sab kehete hain bhul jao unhe vo shaayad tumhare laayak he nahi
Main to maan bhi lunga lekin mera dil yeh maanne ko tyaar nahi
Meri chaahat ka mazak naa udaao
Yun mere dil ko naa itna bebas banao
Yeh dil apni dhadkan se juda ho nahi sakta jaise
Main shayad unhe apni zindagi se nikaal nahi sakta aise
Aye khuda ek choti si fariyaad karta hu
Vo jahan rahe khush rahe dil se yeh dua karta hu
Waise to haq kho baitha hu main khud hee unko apna banane ki
Lekin mujhe aadat nahi hai khud ko yun behlaane ki
Meri rooh unhe aaj bhi utna hee yaad karti hain
Har pal yeh bas unse aur zyada pyar karti hai...

No comments:

Post a Comment