Monday 9 September 2013

Mein Aur Mera Darr

Main aur mera darr bhi ajeeb hain.
Naa to uske saath jiyaa jaata hain 
Aur naa hee uske bin..

Jab main chota bachha tha..
Main sabse hee kyu darrta tha..
Vo karte to the pyaar mujhe..
Unko khoney se main darrta tha..

Kabhi cricket selection se darra..
Kabhi teacher ki maar se darrta tha...
Kya likhunga exam mein kal...
Yeh soch kar darrta tha har pal..

main chaahta tha jisko, usko kehene se darrta tha...
Jab dil ka haal sunaaya to uske jawab se darra tha...
Jawab jo haan aaya uska to usko khoney se darrta tha...

Darrta tha main apne darr se itna ki kuch bhi kehene se darrta tha...

Zindagi ki bheed mein kho naa jaun iss baat se darrta tha..
Bhool naa jaaye yeh kaminey dost iss baat ko lekar darrta...

Kuch khwaab dekhe the maine, unn khwaabo ke tutney par darrta tha...
Akela naa ho jaun iss jahaan mein kahin iss baat ko lekar darrta tha..

Kaise jiyunga apni tanhayi mein yeh soch kar darrta tha..
Kahan le jaayegi meri meri manzil meri..
Kya hogi ab aagey taqdeer meri...
Es baat ko lekar darta tha...

No comments:

Post a Comment